Sunday, October 4, 2015

Ab ke gayi,
To lautne ke sab raaste
Band kar ke jaaungi.
Aur yeh bhi dekhungi
Ki apne qadmon ke nishaan
Mitaati jaaun.
Aur gathri mein baandh kar
Le jaaun har ummeed
laut aane ki.
De ke jaaun to bas
Ye vishwas ki ab
Hamare raaste ek nahin honge
Kabhi nahin.
Nadaan thi bahut jo sochti thi
Ki tum rok loge mujhe.
Ya Ki nadaani tum se hui
Jo socha ki tum se door
Jaungi kahaan main.
Mera ghuroor meri mohabbat
Chaknachoor ho gayi hai
Aur uske anginat tukdon mein
Jo dikhai padta hai
Wo mera hi aks hai.
Is aks ko dekh ab hansta hai
Har wo shakhs jisse maine
Toda rishta kyonki
Tum Se mere rishte ko maine
Maana tha sabse badhke
Maine tumhein hi saunp diya tha
Khud ko.
Tum kehte the ki jeete ho meri
Muskurahat ke liye bas.
Ye kya ki mere aansuon ka
Sabab tumhi se hai
Dhoop ke thapedon se joojhti wo nanhi
Jise tumhare pyaar ne chhaon ki thi
Ab phir nikal padi hai nipat akeli
Pehle kam az kam wo thi khud ke saath
Magar is baar use
khud ko bhi dhoondhna hoga
Mil gayi, To khud se ladna bhi hoga
Shayad maar hi daalna pade
aur wahin dafnana pade use
Agar wo kamzor padi to.
Phir Andheron se ujaale ko chheen
Apna jahaan Roshan karungi
Phir mil bhi gaye kabhi jo raaste hamare
To chundhiya jaoge mere tej se tum
Magar mere liye bas hoge tum
Us bheed ka hissa jo ghere hogi mujhe.
Lautna ab namumkin hi nahin
Munasib bhi nahin.

0 comments:

Post a Comment