Saturday, January 15, 2011

darr

har saans se lipta hai amar bel sa|
hai naak mein dala hua nakel sa||
nikaah darr ka zindagi se ho gaya,
jeevan bana kathputliyon ke khel sa||
darr darr ke bolte hain lafz tol ke|
darte hain sach ki potli ko khol ke||
baandha hua wo sab jo bol na sake,
ab mil raha zameer ko tatol ke||
sach ke jo tha cheethade uda raha|
tha sadak pe kal wahi chilla raha||
jab uski aabroo ke kapde phaad kar,
tha humsafar usi ka chala ja raha||
awaaz sach ki aaj bhi buland hai|
darpok qabootar ki aankh band hai||
hoti hai sach ki jeet maante hain wo,
darna bhi sach se par unhe pasand hai||

2 comments:

gulzar singh said...

darr ko bhut khoobsooti se dikhaya hai aapne.

Unknown said...

Wonderful piece of poetry

Post a Comment