har saans se lipta hai amar bel sa|
hai naak mein dala hua nakel sa||
nikaah darr ka zindagi se ho gaya,
jeevan bana kathputliyon ke khel sa||
darr darr ke bolte hain lafz tol ke|
darte hain sach ki potli ko khol ke||
baandha hua wo sab jo bol na sake,
ab mil raha zameer ko tatol ke||
sach ke jo tha cheethade uda raha|
tha sadak pe kal wahi chilla raha||
jab uski aabroo ke kapde phaad kar,
tha humsafar usi ka chala ja raha||
awaaz sach ki aaj bhi buland hai|
darpok qabootar ki aankh band hai||
hoti hai sach ki jeet maante hain wo,
darna bhi sach se par unhe pasand hai||
skip to main |
skip to sidebar
yeh un lamhon ka guchcha hai jinhone meri rachnatmakta ko nayi dishaayein di hain...meri srijanaatmakta ke naye pehluon se mera parichay karwaya hai......yeh guchcha un lamhon ka bhi hai jinhone mera parichay mujhse karwaaya aur ab aapse karwaane ja rahe hain
Labels
- nation (1)
- nationalism (1)
- patriotism (1)
- Republic (1)
2 comments:
darr ko bhut khoobsooti se dikhaya hai aapne.
Wonderful piece of poetry
Post a Comment