Naraz hun bahut tujh se
Dil dukha hai bahut
Jee chahta hai
Ki tod dun wo dhaaga
Jo humein jodta hai
Magar sunn pad gaye hain
Yeh haath mere
Phir yeh sochti hun
Ki ru-ba-ru ho jaayein
Aur ulajhte jaayein
Jab tak ki taiyar na ho jaaye
Ek naya khoobsoorat
Taana baana
Is dhaage se
yeh un lamhon ka guchcha hai jinhone meri rachnatmakta ko nayi dishaayein di hain...meri srijanaatmakta ke naye pehluon se mera parichay karwaya hai......yeh guchcha un lamhon ka bhi hai jinhone mera parichay mujhse karwaaya aur ab aapse karwaane ja rahe hain
Sunday, December 21, 2014
Naraaz
Kyon shukriya?
Socha hai
Keh dun tumhe
Shukriya
Tum poochte ho
"kis baat ka "
Baat chahe koi ho ya na ho
Shukra hai ki
Tum ho.
Tum ho,
Ki hum chakh sakein
Swad rishton ka
Kabhi hans ro ke
Kabhi lad jhagad ke
Kabhi saath ho ke
Kabhi saadh ke chuppi
Kabhi aankhon mein kho ke
Kabhi kanakhiyon se
Nashtar chubho ke
Aakhir jude hain hum
Akhiri saans tak
Ek doosre ki akhiri muskaan
Akhiri ashk tak.
Shukriya
Pagalkhana
Yeh jagah, hain hum jahan ik pagalkhana hai
Har bashar jo hai yahan par wo deewana hai
Khojta rehta na jaane kya har ik lamha
Payega jo kuch bhi aakhir kho hi jaana hai
Dedh akal mein ek meri, aadhi sari duniya ki,
Har ik banda doosre se Dedh sayaana hai.
Tu sahi na wo sahi, sahi hun main ek hi
Hal nahin jiska, ye wo jhagda puraana hai.
Nahin sunta, na dikhta, mehsoos hota bhi nahin
Ansuni karne ka, ye achcha bahana hai.
Chaar bande peeth kar ke dekhte ismaat chaar.
Kisko roothna hai aur kisko manaana hai.
Dafn hota hai badan, daulat nahin, na jaydaad.
Hod phir kaisi lagi hai , kya kamana hai
Cheekhein goongi ho gayin ki kaan hain behre
Ab Nahin sunta, hai gaali ya ki gaana hai.
Khaaq ki bolo bhala, hai jaat hoti koun si
Koi bhi ho raakh aakhir ban hi jaana hai
Yeh jagah hain hum jahan ik pagalkhana hai.
Labels
- nation (1)
- nationalism (1)
- patriotism (1)
- Republic (1)