palkon ke siron se
oas ki boond bankar
chipak gaye hain
bahut saare sapne.
raat hai ki pankh liye
udti jaati hai.
tere dil ki
roshni se
lipatkar suraj ki kiranein
oas ki boondon ko chhookar
moti banaati hain.
aankhein jab main
kholti hun
tootkar palkon se meri
farsh pe ye saare moti
bikhar jaate hain.
main tikaa ke apne
ghutne aur hatheliyaan
batorti hun ishq tera
mutthiyon mein.
tapish se phir oas jab
ban jaate hain moti sabhi
apni mutthi kholke
hatheliyon mein munh chhupa kar
ek ek saans mein
piro leti hun inhein.
ab na hi tootenge
na bikhrenge, na pighlenge
zindagi ki ladi mein
yeh sapne,
ab mahfooz hain!!!
,